Kahan se chala tha
Kahan aa ke tham gia
Zindagi ka safar
Adhoora hi rah gia
Socha karta tha tanhai me
Main uske bare main
Jiski wajah se aaj
Zindagi me tanha reh gia
Woh bhool gai
Is kandhe ko
Jispe sar rakhke wohSab kuchh
bhool jaia karti thi
Woh bhool gai
Is bande ko
Jise hamesha yaad rakhne ki
Woh kasme khaia karti thi
Bahot socha maine
Bahot likha maine
Par vo na kah paia
Jo mere dil me hai
Bahot rootha usse
Bahot kossa ussko
Par vo na nikla
Jo pyar mere dil me hai
Ja nahi dete tujhe baddua
Ye hamari sharafat hai
Tujhe na aai to kia hua
mohhabat phir bhi
hamari ibadad hai……………………
--------------------------------------------------------------------
maine poochha khuda se
kia yehi teri dunia hai
har kadam pe imtehaan
har dagar pe bewafa hai
jahan pyar ki koi keemat nahi
aur mohhabat hi saza hai
ja mari thokar teri dunia ko
ab hum na kisi se dare ge
ab kia koi hume rulaega
hum khud hi bewafa banege.
----------------------------------------------------------------------------
aaj main bhool gia usse
jise na bhoolne ki kabhi kasam khai thi
aaj main rooth gia usse
jise apna banana ki kabhi dil main aee thi
najane wo kaisi ghadi thi
jab bewafa me mujhe
mohhabbat nazar aee thi……….
---------------------------------------------------------------------------------
har pal har waqt
ik paheli hai zindagi
har dagar har manzil
bahot akeli hai zindagi
mere dost zara bachke
bagairat, bewafa
logo se aaj bhari hai zindagi……………
----------------------------------------------------------------------------
aaoo yaaro tumhe sunaoo
teen phone ki kahani
jisme main tha ladka
aur ladki thi rani
ye baat nahi hai itni purani
jab main tha maasoom aur wo thi nani
pahle phone me maine
hello hii kia tha
jab mere dil ko usne
hi-jack kia tha
doosre phone me to
meri khushi ka thikana na raha
jab vo mere lia
aur main uske lia
begaana na raha
itni khushi meri zindagi me
pehli baar aii thi
jab “rani’ zindagi me
banke bahaar aii thi
teesre phone ke lia
usne mujhe bahot tadpaia
jab aia to maine use
baigana paia
najane use kiska dar tha
aisa lagta tha
ke koi aur uske
dil me us waqt tha
ab to lagta hai
ke teesare phone ne mujhe
ye “samjhana” tha…..
vo shamma thi
main “parvaana” tha……
ik sapna toot gia
to kia hua
ik apna chhoot gia
to kia hua
hum basera phir naia
ik basae ge
khuda ko phir
apne hum manae ge
ik pal zindagi ka
humse rooth gia to kia hua
hum us pal ko bhula ke
apni zindagi mai lot jaenge……….
likhta
hoon main
sonata
hoon main
aaj
baat apne dil ki
tumhe
batata hoon main
bahot
seekha hoon main
bahot
samjha hoon main
phir
bhi kuchh batain hai
jinhe
bhulaata hoon main
vo
pal the palchhin ke
vo
pal the khushion ke
jinse
nikalne ko
chhatpatata
hoon main
chalo
bhool jata hoon main
bisar
jata hoon main
un
baato ko chod ke
aage
nikal jaata hoon main
likhta
hoon main
sonata
hoon main
aaj
baat apne dil ki
tumhe
batata hoon main………..
lo sonata hoon tumko aaj wohi baat
jo aati hai mujhko raato ko yaad
raato ki neend uda jaati hai jo
pagal sa mujhko bana jaati hai jo
ye yaade hai uski
jot hi zalim haseena
kamsin kali thi
bahaaro ki taazi
baimaan ho jae
jisse dekh ke kaazi
jise dekh ke lagta
na tha koi bhi apna
vo ban gai hai mera
ik bisra sa sapna…..
vo ban gai hai mera
ik bisra sa sapna……..
jaise raat main aasmaan
bhi bahot paas lagta hai
vaise hi doosro ke gum pe hasna
tumhe aasan lagta hai
are tumhe kia pata
toote dil ki marammat mai
kia kia saaman lagta hai
sabse pehle to toote
dil ko samet ke
piroia jaata hai
phir aansuo se raat ki
tanhai mai dhoia jaata hai
phir siskion ki hawa se suka kar
is dil ki laash ko
zindagi bhar ddhoia jaata hai……
are tumhe kia pata
toote dil ki marammat mai
kia kia saaman lagta hai…..
kia kuchh nahi chaha tha
kia kuchh nahi socha tha
kia kuchh maine khoia hai
kia kuchh maine paia hai
jab sochta hoon
mohobbat ke baare main
to kahta hoon dil se
kia bas yehi karne aaea hai……..